Neend Ghaneri
Neend Ghaneri akhiyan mein ab aur bahut hai sona
Jag ke kaam jo hise hamare voh hamein hai karna
Isliye pad raha hai jaagna
Kaam adhure aaj ke din ke
Din ba din jaye badte
Kal ke kaam, Aaj Ke Kaam
Yeh kaam kabhi na ghatte
Fir Hum bas yahi hai kahete,
Kal ke kaam kal o jaate,
To aaj na padta hamein youn jaagna
Soch soch kar in batoon mein
vaqt jata beetta
Haath pe haath dhare rah jaate
Vaqt tata karta jata
Fir hum bas yahi hai kahte
Ai vaqt na jaoo jaldi itna
Kam ke bhoj tale hum dab jayeinge varna
Hum Kitne Nadaan The Dekho
Hum Kitne Nadan The Dekho
Vahi ke vahi jame rahe
Log aage aage badte gaye,
hum vahi pe bhut bane rahe
Dil Ke Geet Banate banate
Hum duniya ki reet bhool gaye
Saat sur rachaate rachaate
hum sur sangeet mein ghul gaye
Sad seedi upar chadte gaye
Hum neeche bas upar dekhte rahe
Kuch takdeer ka haidosh yahan
kuch mare bhi kasoor
chod gaye sab rah mein akela
vo vahan, hum kitne door
Kitne sharm ki baat hai sab bad gaye
Hum vahi ke vahi tane rahe
Sab kuch time pass hai
sab kuch timepass hai, sab kuch timepass haiAish kar tu yaara, zindagi yahan bindaas hai
Bombay ki life hai bhai, kiska sunna bakwaas hai
Yeh bombay hai, life yahan ki superfast raftaar hai
sab badte hai, sabe ladte hai, kiska na kise intezaar hai
vohi kahalata hia sahi, jiski fitrat jhakaas hai
job ka tension chod do in sab se muh mod do
doston ke sang khao peeyo sabse naata jod do
jo tension leta hia, voh samjho khalaas hai
Pahenke jeans aur kurta, khao bargar aur bharta
kuch banja Indian tu, kuch english tu banja
Kabhi yahan pop jaaz hai, kabhi dandiya raas hai
jeb mein nahin paisa hia, fir bhi ghoomoon amiroon ki tarah
upar khadi maal hai, jise pataoon hero ki tarah
yahi apna style hai, yahi toh apunke paas hai
No comments:
Post a Comment