Monday 26 February 2024

Ganpati Songs

Ganpati aaya khushiyaan lekar

Ganapati aaya kushiyaan lekar
baharein lekar hasiyaan lekar

welcome padharo  Ganesha
welcome Ganesha

tum ho sabke vighnharta
dukh harta sukh karta
jholiyoon ko aake bharta
jo chahiye tu voh hi deta
maujon ki aaya ladiyaan lekar

choti choti chizoon ke liye
hum udaas ho jate hai
bin soche bin samjhe hum
kudh ko thes pohuchate hai
meheroon ki aaya nadiyaan lekar

ik dant vakra tund
tu vishal tu hai boond
tu hai gaj gajpati
tu hi baal ganpati
rup aaya tu badiyaan lekar

Ganpati Ganpati bappa Morya

Ganpati Ganpati Bappa Morya
Tu hai dayalu tu hai kripalu
Tar de meri dubti naiya

Vighnharta ji tera naam hai
Vignon ko harna tera kaam hai
Aake tham meri baiyaan

mahadev ke balak tum
sare sirshti ke palak tum
Gauri nandan hai khivayaa

Tere dwar par mein aaoon 
aake tera bhajan gaoon
teri seva karoon
tere charn kamalon ka
tere aases ka
mein meva paoon

mathe par tere mukut hai
chamke hyon chand tare
kano mein kundhal gale mein mala
rup hai nyare nyare
haton mein tere modak hai

Jai Ganesh Jai Jai Jai ganesh

Jai Ganesh Jai Jai Jai Ganesh
Jai Ganesh Jai Jai Jai Ganesh

Sabh milkar karein teri vandana
aake sabke tu dukh harna

Jai Ganesh....

Deena dukhi hum tu deena dayala
Teri kripa ne humko hai pala
Daya ki drishti sada hi rakhna
aake sabke tu dukh harna

Jai Ganpati Deva Teri Adbhut 

Ganpati teri stuti
Jo karta hia sukh pata hai
Tu hai sabka palanhara
tu hi vishv vidhata hai

Jai Ganpati deva,
Teri adhbhut chavi ka
koi kaise varnan kare
tere bhakt jan saare
tera gun gaan gaake
sab tere charnan pade

Koi mushkil ho to aaoo yahan
kuch mangna ho to aao yahan
Sukh Karta hai voh
dukh harta hai voh
voh hi sabke vighn hare

Har taraf tera hai chamatkaar
tu suraj chandr taroon ka saar
tu hai yahan
tu hai vahan
tu hi tu hai tujhe naman kare

Gar shiru karo naya koi kaam
pahele pehele lo shri ganesh ka maan
ban jata hai vo
saj jata hai vo
vo lakdi ko chandan kare

Jai Jai Ganraja Jai Jai Ganpati

Jai Jai Ganraja Jai Jai Ganpati
Dukh ki har Ladi, kan kan kati

Nitya tera gun gaan jo kare
patjhar mein bhi saawan saa vo rahe
gaane se tujhe saari archan hati
Jai Jai Ganraja Jai Jai Ganpati

Mushaq par chad aaye sajaaye maathe jaswanti
teri surat man ko bhaye vakra tund hasti
uspe hai chadi mala vaijanti
Jai Jai Ganraja Jai Jai Ganpati

Tu karaj sab ke aake sawar deta hai
kasht jo bhi ho vo tu utaar deta hai
dikhti hai har dil mein teri swarn chavi
Jai Jai Ganraja Jai Jai Ganpati