Tuesday 9 November 2021

Kanu Bhajans' Lyrics


Sai ko Bhaj lo

Sai ko bhajlo bolo sai ram
ik hi sundar hai yeh naam
dooja hai sai ka yeh dhaam sai dhaam


Sai ki mahima sai jaane
Aur na koi bhi pahchane
jadoo hai isme sab yeh maane
saj jaate hai sabke kaam, sabke kaam

poocho na kaisa hai yeh mandir
Sabse anokha sabse sundar
isko baasa lo apne andar
yahi hai apne charo dham charo dham 





Ek Sai Ka Darbaar


ek sai ka darbaar hai sona dooja sai naam
ek ek pal maine gaaya aur pooja sai naam
bolo om sai ram
bolo om sai ram
haat jodke maang sai se
jo chahiye tujhko is jag se
yahan kise takat nahin hai
jo dega voh sai dega tujhe
koi aur nahin mujhe mila bas sujha sai naam
bookha hoon mein tere naam ka
apne naam se yeh jholi bharde
aur kis cheez ki chah nahin hai
yeh kirpa tu mujhpe karde
man andar gooje tu hi ik bhuja sai naam
teri shakti jag yeh jaane
kya kar sakte sai sab jaane
andekha ansuna sab
sai kar sakte apne jadoo se
teri aankhon mein hai bhari urja sai naam


Ganpati


ganpati ganpati bappa morya
tu hai yahan tu hai vahan
har jagah tu hai morya

Mumbai ke tu Siddhi Vinayak
Raigad mein tu asth vinayak
vindraban mein jaoon
to tu hi kishan kanaiya

pune mein tu dagdu seth
Nashik me tu Ganesh peth
Ayodhya mein jaoon
to tu hi ram lakhan bhaiya

dakshin mein Tirupati balaji
utar mein badrinath babaji
pachchim mein jaoon
to tu hi Durga maiya

Ankhon mein tu hai basa
har jagah to hai racha
aake tu tham le
meri baiya

Guru Nanak

Guru nanak sache patshah
beant meheran beparwah

tere age sab hai samaan
sabka tu kare sujaan
har ik ko bataye sahi rah

tu shama kar deta sabko
chardi kala tar de sabko
tu swami hai sehanshah

sabpe pyaar barsate ho
sabko nihal kar dete ho



 

Mandir Chalo Sai Ke

Mandir chalo sai ke mandir hai sona 
jagmagaye vahan har ik kona

dwar ki mahima koi koi jaane
jo jaane bhai vohi maane
paye voh man chaha khilona

man mein shradha bhari hooyi hai
kitni katarein lagi hooyi hain
mangne aate sapan salona

Saara jag jhootha Sai naam sacha
baaki sab khota sai naam aacha
ise sambhalo yeh naam na khona

ik hi naam sai ka ik mein sau samaya
sau naam har ik sai ko usmein paaya
Naam goonje sai gooje kona kona

jaadu hai sai ke haathon mein
shradha saboori hai baaton mein
ho jata hai kaam bas mein apne jona

sai ki tasweer kitni nirali
chanmke chanda jyo lage diwali
kushi itni ke aa jae rona

darshan karke prasad le lo
dil men unko tum basa lo
haath kar aage le lo dona

sai ki mahima sai ki garima
sai ki rehmat Sai karishma
unko mat samjho koi jaado tona

mat samjho kuch sai ko alag sa
Voh toh ishwar rab hai jag ka
antaryami voh hai kuch aur samjhona

jab jab mandir mein aana hai
swach hoke har waqt aana hai
haath apne tum ache se dhona

jab sai ki meher ho humpe
sab mushkilein hat jaye humse
kam ho jaye jo bhaar hai ddhona

jab mushkil ka dauro ho chaya
khel khele yeh moh aur maaya
aake sai ke pairon mein girona

kushiyaa sai itni bhar dega
tujhe pal mein haseen kar dega
Akhein band kar sapne apne pirona

sai hai karte jaadu se kaam
badal dete hai saare gulfaam
unko gaaoo unke aage peech firona

saii naam amol jiski unchi shobha
mit jaaye kaam krodha moh lobha
sai naam gaate sai dwar chalona

sai nam manchau manchau sabka
unse juda man ka sacha bhau sabka
unka naam gaao unke gun gaoona

preet lagi hai sai se, reet yeh purani
preet laga tu sai se vohi reet nibhani
sai paas aakar tum unke kadam lagona

jai jai sai jai jai sai naam japanhaar
ik baar sau baar japo barambaar
baaki sabse todke rishta sai syon jodna

Charnon mein tere swarg hai sai
charnon mein tere swarg hai sai
jaaon jahan tera tark hai sai
har koi matha teke dar pe
sari duniya ek hi varg hai sai

Om sai
om sai om sai
om sai om sai
tujhe pukare mera har
ik ik rom rom sai

har din tera har pal tera
bhakti mein shamil man mera
chahe ho sukr guru
chahe ho som sai

sai mere sabke sai
yahan vahan har aur hai sai
tere mandir ke samne
mera ho home sai

tyag do mein sabkuch apna
teri sharan karun tan man apna
dharan karlon mein
tera vastraom sai

papa online dekho mandir
aarti pooja ho rahi andar
kab explorer mein
kabhi chrome sai

tript ho jaye har ik insaan
jo aaye dware ban maharbaan
tar jaata hai uska
saara kom sai


Sai Mere Sai


sai mere sai
sabke hai sai
tu hai yahan wahan
har taraf hai sai
tujhko dekhkar
jadoo sa lagta hai
haste gaate bas om
sai ram kaheta hai
dekh teri
mom sai

som sai

home sai


Mandir Sai

mandir chalo sai ke
mandir hai sona
jagmagaye vahan
har ik kona
dwar ki mahima
koi koi jaane
jo jane bhai
vohi maane
paye voh man
chaha khilona
man mein shradha
bhari hooyi hai
kitni katarein
lagi hoyi hai
mangne aate
sapna salona

Sai Par Vishwas
sai par hai mujhe vishvas
sai puri karinge aas
pyase is dil ki jo hai pyaas
sai puri kareinge aas

pehele bhi jo hoova tha mere saath
sai ne apna badaya tha haath
sambhala tha mujhko aakar mere paas
sai

mushkil hai yeh daur sai ko pata hai
iski rah kya hogi voh bhi use pata hai
toofan ko pal mein kar denge naas
sai


kanu ki aarzoo sai ke dwaar pe
naiya kaise doobegi unke majhdaar pe
unke dar par kiya hai niwas
sai


राम नाम सिमरले मनवा राम नाम सिमरले

Shree Ram Se Bhi Badkar Hai Shree Ram Ka Naam
Dubte patthar tar jaayein jinpe likha hai Ram Naam

राम नाम सिमरले मनवा राम नाम सिमरले
नैया पार तू करले हमरी नैया पार तू करले

मेरी नैया बीच समुन्दर डॉल रही है स्वामी
भेज लहर तू नाम के अपनी तार दे अंतर्यामी
अपनी शरण में ले ले हमको अपनी शरण में लेले

माझी बनके इस नैया का मार्ग सरल बता दे
ऐसे किरपा कर हमपे तू जीवन सार बतादे
सेवा अपनी दे दे हमको सवा अपनी देदे

राम नाम सिमरले मनवा राम नाम सिमरले
नैया पार तू करले हमरी नैया पार तू करले

Gurunanak Ki Darbar


Gurunanak Ki Darbar lagi hai sachkand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Banke aa ja deen bikari
Chahe ho tujko lakh hazari
aake tek sar tu yahan chahe
Aage jhuke tere duniya sari
Dhan gyan ka apar lut raha sackhand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Sun tu aake guru ki bani
gursikh gurpyare ke zubani
lele tu aake prasad iska
chak le tu aake amrit pani
Gur shabdon ki phuhar lagi hai sachkand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Man mein jo halchal hai tere
door honge saare andhere
ik baar jap le tu naam guru ka
dekh fir tu bas kaam guru ka
Sabki naiya paar lagi hai sachkhand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Tere aane ki dere hai bande
Tere mangne ki der hai bande
Jo kuch bhi phir chahega tu
voh deta dher hai bande
Akhut cheezon ka bhandar hai sachkhand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Dar par jo aaj na aaya
Sab kuch paake bhi kuch na paaya
Jo mila hai mujhko aaj
shanti ka man mein goonje saaz
Jeet jayega har kar bhi tu sachkhand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein
Gurunanak Ki Darbar lagi hai sachkand mein
Aa kar le tu deedar guru ka sachkhand mein

Sangi Meete Koi Na Honge

Sangi meete koi na hoonge, koi na hoga saath
Jaana hoga vahan ai bande, lekar khali haat

Ram naam ki seedi hogi, chadkar jaaoge swarg
Varna girte girte tum, pauncheige seedhe narg
Na honge haath ghode vahan jo denge tera saath

Karam dharam sab saath tere, honge vahan ius paar
Tum hi apne doshi honge fir, jeet mile ya haar
Vahan na chalta raj kisika, vahan na chalta swarth





 



Rahraas ho shyam di

Rahraas ho shyaam di, subuha di aasaa var
Kah le bande kar le bande, honge bede paar

gur ka kirtan man ko bhaaye
man mandir mein ras rachaye
saadhu sant ka lage jab mela
tu hi sahara mera akela
tere hi rang hai jag mein saare, anginat lakhon hazzar
Rahraas.....


Gur da kirtan jo koi gaaye
tan man se voh sudh hi jaye
swach saadh bhavna man ko
utejit aur tejasvi banaye
gun gaaoon mein, man bhaoon mein patjhar ho ya bahaar
Rahraas.....

Gur da kirtan karna hi ab, hai is jeevan kaa saar
khushi mile chahe gam mile ab, jeet mile yaa haar
tera hi ab naam basa hai, is man mandir mein kartaar
tujhe pkar shyam subah, gaake rahraas assa di vaar
ant aaye aur baad bhi mera tu hi ho aadhaar
Rahrraass....

gur ki bani nirmal komal
tan man dhan se gaoon
amrit chakke bhog khake
mein dhanya dhanya o jaoon
teri aarti, sukh man, japji
bhata barambaar
Rahraass.....















Maiya Mori

Maiya Mori Mein Nahin makhan khayo
sabne khilayo

main hoon sabka pyaara o maiya
sab mujhko hi chahe
halwa pori maakhan misri
sab khilana chahe
Maiya mori main hoon sabko ladlo
sab pyaar jatayo
Meiya....

Gwal bwal sang khelan jaoon
ban ban naach nachaoon
Gopin sang raas racht rachat
sab ko khoob rijhaoon
Maiya mori, sab mohe bhayo
tin hi bulayo
Maiya...


Man Lagale


Man lagale lagale lagale prabhu ke charno mein
Mat jalare jalare jalare jeevan aivayee batoon mein

Soke soke din na bita, vaqt bada hai anmol
Jaag ja tu o pyaare apni ankho ko tu khol
Mat gavare gavare gavare samay tu nindiyoon mein

Chup chup rah tu yaad rakh kimti hai har bol
Do baar sochkar fir tu mah apna yeh khol
Mat chalare chalare chalare teekhe zubaan ke baroon ko

Pyaar se rah pyaar bant beete batein na tol
Nafrat ke tu man mein peele karve banake ghol
Mat girare girare girare khudko apni nazroon mein


Its an evening time



No comments:

Post a Comment