Tuesday 9 November 2021

Poems on Friendship

Doston dosti ka usool hai

Doston dosti ka usool hai    
Dil se nirvah rishta cool hai
Jo kinchit kare dost mera
Sab acha, naaki fizool hai

Hum dost hote hai beparwah
Ghumte firte hain bewajah
Yahan vahan hum sab milkar
Masti karein anjuman hokar

Dost mera jaane hai sab kuch
Kaise mila jaye doston se
Kya kya baatein ki jayein unse
Mazak alp aur chedein kuch kuch 

Awesome friends ka group hai yeh


Awesome friends ka group hai yeh
apun ka mast kya troup hai yeh
dosti yaar kya khub hai yeh
never ending for loop hai yeh


picnic picnic bolke hum
Finally plan toh karte hai
ek jagah nahin toh dosri 
jagah pahunch hi jaate hai
choti choti yeh sab baatein
banay yadon ka sanduk hai yeh

rup naya hai rang naya hai
nayi duniya hai aa gayi
Pur hume purane doston ki
dosti bahut hi bhaa gayi
kabhi dosti facebook hai toh
kabhi haan you tube hai yeh

nikalti hai pyaar ki goli
ik dil se doosre dil tak
chalti rahti hai sang apne
pahunch jaye koi hill tak
zakhm ko jo hai mitati
dosti aise bandook hai yeh

if friendship na hoti toh
else bataoo kya hota
everyday switch karte karte
aakhir kya maza hota
multi threading ki tarah
dhagon mein bandha mansoob hai yeh

Dosti Magic mantr hai
Jeevan jeene ka jantr hai
tej teekha ik tnatr hai
bandha magar swatantr hai
Mars ka ik square hai yeh
Venus ka ik cube hai yeh

jo bhi jab bhi bolna hai
Hum doston mein bol dete hai
Aaju baju aas paas yaaron
bilkul bhi nahin sochte hai
Isse hi bante friendship ka
pasta aur tasty soup hai yeh

Dost har Khusi Ko Lakar


dost har khushi ko laakar
karte doston ko ujaagar
dosti hai cheez deewani
chalti hai jismein manmani
pagal kar dete dost sabko
aisa pyaar karte hai sabko
saare jag mein yeh ek rishta
pyaar jismein bhar bhar dikhta
rang hote hai ismein anek
jo kar dete sabko ek
haste haste har pal bitaate
upar se neeche pyaar barsate

dosti hai ek rang ajooba
jismein har ek dost hai dooba
rangon ki yeh haseen mala
dosti ko jadoo kar dala
dost ko sacha kahte meet
jisse duniya hum jaate jeet

Friends
Friends aaj ka yeh din dosti ke naam hai
Frienship day hai manana aur kya kaam hai

pagal hum ghumte hai pagalpan karte hai
beintihaan masti aur dhamaal hum karte hai
dosti ke naam ka aaj bhar gaya jaam hai

mat poocho kya kya ulti harkat karte hai
usko isko har ik ko kise nahi chodte hai
doston ko tang karte isse hum badnaam hai

call karke sabko unke ghar se nikalte hai
apne regular spot pe sabko bulate hai
na na karke sab aate yeh unka mukaam hai

doston aaj ka din dosti ke naam hai
ashiqon ka bas apni aashiqui ke naam hai

do dil jab milte hai dono khilte hai
aa aa kar dono aapas mein silte hai

Doston Ke Liye
doston ke liye hum kya kya kar sakte hai
kuch nahin to kam se kam dosti nibha sakte hai

badal jaise takrakar apne mitr badal se
is dharti ko bhar dete hai apne jal se

koyal jaise apna metha sur chede
aur uspe dost mor cham cham nache

baarish jaise baras baras is dharti par
apne dosti ka khub misaal voh deti har

meet sacha vohi hota is dharti par
jo dosti nibhane ki kasam le kuch bhi kar

Dost
dost toh pagal hote hai
ik hi voh toh gal karte hai
pagalpanti mein voh
kuch bhi bolte hai
lekin unka kuch bhi
yeh sab bolna allowed hai

hasane ke liye
ajeeb videos bhejte hai
kuton ke alag awaz
yo kabhi videos padne ke

kabhi 10 baje raat ko
call karke kahete hai
chal beer marte hai
lekin hotel pahunchte hi
plan change karte hai
chal wishkey peete hai

achanak se kabhi
picnic ka plan karte hai
jana hai matheran
lonavla pohuc jate hai
uf kya chalta hai
inke dimaag mein
dosti ke naam pe
kuch bhi karte hai


Chal Yaar
chal yaar cricket khelte hai
mein balling nahin karonga
sirf batting
theek hai chal yaar
mein hi balling karonga
sachi
haan yaar
tu aa toh
sahi hai
chal aata hoon
bas jaise hi teen char dost
cricket khelne aaye
masti shiru
kisne batting ki
kisne balling ki
aur kisne fielding
bas 2 ghante nikal gaye
haste khelte

yeh hai dosti

No comments:

Post a Comment