Today is the birthday of my dear friend
Ankit Arora; to whom wishes I send
Lot Many happy returns of the day
And many more to come all your way
A fabulous guy with a witty style
And has creative approach all the while
When he is on the stage he simply rules
Makes every one laugh with his comic tools
He's number one guy when it comes to work
Works diligently ; gets promotions and perk
When he's onsite to visit customer
He attracts everyone with his caliber
A marvelous guy that's Ankit Arora
Wishing him all life with joyful flora
Happy Father's Day
Happy Father's day; Happy Father's day
Mere papa tum base ho mere dil mein
Thankyou my child, lag jaoo gale
Tum hi ho mere in aankhon ke taare
Tumne humko pyaar diya hai itna O' daddy
Aur mili hai humko itni pyaari si mummy
Tum dono ke sang hamara ban jata hai day
Yahoo Saturday aur Sunday aur sabhi holidays
Tum ghumane le chalte ho picnic pe always
Shyam ko hum intezaar karte hai har weekday
Jab bhi hum beemar hote hai tum banke doctor
Haath lagate hi jante ho kya hai gadbad
Aapke haath se khakar goli hum theek ho jaate
Aaj jo kahoge mein voh manoonga
Defy-master mein kabhi nahin banoonga
Sorry papa kabhi nahin mein karoonga disobey
Tumne jo bhi hamein sikhaya hai hamesha
Vohi hamein kaam aaya hai jeevan mein hamesha
Tumhari har baat ko hum dhyaan se samjhenge
Humne jo bhi hai chaha, voh tumne kiya
Jo bhi numne maanga voh sabkuch diya
Aapke bagair papa hum rah jaate bikharke
Jinke papa guzar jaate hai, voh kya hai karte?
Kaise voh jeete hai kaise voh badte?
Unke papa karte hai raksha bhagwaan banke
Har ek ke papa se mujhe yeh kehena
Unki mummy ke saath saath hardam hi rahena
Tum ho unke jeevan ke ek hi sahare
Hamara zid, hamari mammani tumne sahi
tumne hamein kisi baat men kaha kuch nahin
tumhari khushi judi thi hamari khushi se
Tumne hamesha chaha, hum badte hi rahein
Jeean mein apne achha insaan banke rahein
humne paya hai yeh jahan aapki aasees se
Aap kabhi mummy bankar khana banate ho
Kabhi tum teacher ban study karate ho
Mere papa tum nibhate ho roles kitne
Meri aunti mere papa ke jaisi hi hai
Unhone mujhe rah dikhaee pap ki tarhain
Aak mein yahaan hoon unki vajah se
Mere papa aaj hote toh bahut khush ho jaate
Dekhke apne bahu poti ko bahut hi naachte
Apne bete ki taraquee dekhe man hi man harshate
Mere papa mein aapko bahut karta hoon miss
Kabhi sochta hoon aap hote toh aapko karta kiss
Aapne kitni ki mehnat paalne ko hamein
Aaj samajh raha hoon, papa kya hote hai
unka hona, unka rahana bahut zaroori hota hai
hum kitne badnaseeb hai jo aap chal base
Mummy ne phir humko kitni mushkil se pala
Hamare liye apne dard ko hamesha chupa dala
Tumhari kami mahsoos nahin hone di hame
Mere bhaiyoon mere bhabhiyoon yaad rakhna yeh
Dard nahin dena mummy ko kuch bhi kaheke
Dil toot jata phir judta nahin hai yeh
Hamesha rahana sang sang yoonhi saath mein
Kabhi nahin jhagadna mere bachoon apas mein
Hum vachan dete hai papa kabhi juda na honge
Ashok Vatika Group
Pehele aata hai "Shiv" ratri
Saal ke March mahine mein
Aur fir Holi ka awsar dikhe
"Vinod"-i-kavi sammelan mein
Phir Raksha bandhan mein
Bhai behen ka virla bandhan
Aur unke beech "Vinod"-i- baatein
ban jata hai hasya anban
Fir aata hai Janmashtimi
"Kanu" Krishna ka tyohar
Ras rachaakar Gokul mein
Diya bhavya "Vipul" uphaar
Ab "Shekhar" ke putra Ka
Ganesh chaturthi ka hova agman
"Sunitha" aur naitikta
ka cinh voh unko hai naman
ab shiru hota Navratri
Jismein hum japte "Renu" Ka
In nau dinon ke pashchat
aa jata hai dasherra
Kuch dino ke baad jagmagata
Diwali aur deepon ka parv
"Paresh" prabhu aur Sita ka
Gungaan gaata hai jag sarv
Shiru ho gaya "Ashwin" Mahina
Thand ka aalam hai chaya
"Sunil" apne bacho ko lekar
"Santa - ni"ar voh aagaya
Yeh hai Bharat ki "Shobhna"
Jismein saal bhar tyohaar hai
Saal bhar yahan rangoli sa
rangaberangi nikhar hai