Thursday 19 May 2016

Political Poems


Jhoot ki seedi

Jhoot ki seedi chadte chadte kahan tak pahunch paooge tum
sach ki rah par chalte chalte coti tak pahunch jaooge tum

Rang Sach ke, phool bhi sach ke,
Gulshan sach ka sajaa tu man mein
sach ka bol bala tu banja
jhoot ko nikal de tu man se
sach ka roop, anup swaroop
phir voh sacha iswar paooge tum


kan kan se phir uthi jo aarzoo
kahegi voh
jo kaha tha tune voh ban gaya tu
kahega man tujhse phir aake
main hara aur jeet gaya tu
bahar failagi tan man mein ek
shudhi karan sang naach uthoge tum

pair rakhoge jahan bhi tum
voh patthar tumhe khush hoga dekhkar
baithoge jahan bhi tum, 
voh kursi tumhein khush hogi dekhkar
sooge khaooge piyoge jo bhi
sabhi se khushi paooge tum

jhooth jo bolega voh khayega maar
kaatega use kaala kavva sau baar
phir teek na ho vo kisi goli yaann injection se kyonki
sab usse honge naaraz, 
aur hamesha unse photega angaar
koi na hoga humdard ai jhoothe
bilkul akele rah jaooge tum

Kisse Kisne Dekhe

Kisse kisne dekhe, kisse kisne jaane
samajh sake na koi, voh jo the purane

sohni maiwaal jaise premi , aaj kahan hai milte
unke jaise pyaar ke phool, aaj kahan hia khilte
Pyaar karna aata nahin bas bante hai deewaane

pyaar kahan do bhaiyoon mein aaj Ram Lakshman saa
Nafrat ki aandhi mein rahkar, bartav karte dushmanoon saa
dekhkar aise nazare, dil lagta hai rone

Saath patni ka kahan aisa, jamane mein aaj kal
Seeta jaisi naar hi is, rishte mein sabse awaal
Naam ka hai naata bas, aata nahin nibhane

Maan putra ke kya kahane, yah toh sadiyoon se sidhh hai
Kausalya ram, yashoda shyaam ke kisse bahut prasidh hai
Baahar se ye kahlata mahan, andar se sabhi hai begaane

Raja kya rajneeti kya, yaha to sarhasal gundagardi hai
sare ke sare corrupt , corruption ne had kardi hai
raghupati raghav raja ram se, kaon gayega yahan gaane

Dostkaho ya kaho dushman, aaj kahan hai sache
ik pal mein hi dete dokha ,vaade hai inke kache
Karan jaise hai dost kahan, aaj zamane mein sache
dosti sirf hai matlab ki, dast sabhi hai jhoothe
dushmani ka dhoova bas bad raha, aaj kal ke zamane mein
choti si baat par log utar aate, khoon ki nadiyaan bahane pe
dushmani jaa rahi badti, dost lage hia ghatne

Bada kaaran in baaton ka, voh hai bas ik antar re
voh tha satyug, yeh hai kalyug, baki sab samantar re
yugon ka sirf hai faasla do, inmein badal gaya kitna insaan re
jaanwar se bhi gaya hai guzra, insaan se ban gaya hawan re
majboori ke kaaran ye, bhagwan ko bhi maar dale
shaitaan bhi darta ishwar se, ye to unse bhi bhayanak aur kaale
kaisa hoga is jahan ka roop, aage chalte chalte
jaan lo abhi hi varna, rah jaoge haath malte
devta bhi baste hia aaj, is zulmi samaj mein
taaleem unse lo thodi, aur dhal jaoo ache insaano mein
aisa na ho jaage tabhi, jab lage devta khone.

Mazdoor
Mazdoor ae mazdoor
tera kaam kitna khoob
yahi batane pesh hova hoon
aapki khidmat mein hazoor !

kisan dharti par janhat phailata hai
khud bookha rahkar auron ko khilata hai
he bhagwan! kaisa hai tere
jeevan ka dastoor
Aise hote hote yeh pratha
Ho gayi hai nasoor
Mazdoor .......

Julaha khoon pasina ek kar boonta kapde hazaar
khud na voh pahenkar bhej deta unhe bazaar
hai! tune kitna kasht kiya
khud aape se majboor
Fir bhi tu karta 
sabke dukhre door
mazdoor.....

kariya shram karte karte bana deta anekon makaan
uske liye jhopdi mein rehna tum mat samjho aasaan
aasman ko chat bandke sona tera naseeb
phir bhi na tune choda
swabhumaan aur garoor
Tu hai is Desh ke
Pratinidhiyoon ka noor
Mazdoor ......

Manzil hai pass teri, dilhi nahin hai door
Kahe 'Kaanu" dheeraj dharoo, tumhein hak milegaa zaroor
kyonki tera ismein koi nahin ai kasoor
Tera kaam tera naam saari duniya mein mashhoor
Mazdoor

Hum

Hindu aur musalmaan dono se
Pahela akshar nikaliye
"Ha" aur "Ma" ko jodkar tum
"Main" se "Hum" ban jayeeye
"Hum" ko talwaar banakar tum
"Main" ko kat daliye
"Hum" se roshni dugni karke,
"Main" ka andhera mitayeeye

Sikh jo Seekh de gaye humko, 
Voh seekh tum bhi seekhiye
"Hum" sab ek hai yeh jaankar tum 
ab "Hum" ko apnayeeye

Ieesaae aise hi na kah gaye humse,
yah baat hai pate ki samjho tum
"Main" keechad se nikal aaoo aur, 
"Hum" ke phool sajaoo tum

"Main" ka silsila khatm karo ab
"Hum" se naata jodo tum
"Hum" hi dega saath tumhaara
"Hum" ko hi aage badaoo tum

"Hum" ki boli itni pyaari,
sab ko tum sunana zaroor
Isse kabhi na bhagna door,
Chahe heere mile ya kohinoor

Fir hoga ik naya savera,
jo dega tumhe badhayeeyaan
Koyal kookegi dur ek hi lekar
Jo kahega khusaamdiyaan

Fir hoga mahsoos ik aanand,
Jab milegi tumhe badhaeeyaan
Saare jagse sab logon se,
Milegi tumhe jab khusheeyaan

Gulshan


Gulshan jo ujad gaye
vo gulshan kaun sajayeega
vo phool vo kaliyaan jo tuti
kaun unhein sawarega

Mandir mazjid ka peet dhidhora
jaan jinki gayi beech mein
khooni ban baitha hai jo
voh saza kaise payeega

pyaar ki ganga bahane wale
un Ram Rahim ko yaad karo
Lad jhagad kar aapas mein unki
santaan kaun kahalayegaa

Banegi apni baat

Jab subah suhani aayegi
rang naye bhikhrayegi
khatm hogi voh bhayanak raat
tabhi banegi apni baat

Goliyaan na chalani ab
khoon na bahana ab
pyaar ki bikhregi saugaat
tabhi banegi apni baat

Voh dekho kaise lad rahe
dharm ke naam mit rahe
bas karo yeh jaat v paat
tabhi banegi apni baat

Goli maar chupa hai jo
bombs aur scams hove hai jo
karin unki tahkikaat
tabhi banegi apni baat

bharat varsh bat raha
apne hi hathon kat raha
milkar hum chaleinge sath
tabhi banegi apni baat


No comments:

Post a Comment