Tuesday 3 October 2023

Mata Bhajans

 

Mata Ki Chavi

Mata Ki Chavi Kya Bataye Kavi
Tej Aisa mukhpe jyon chamke ravi

Chand jaisa sundar hai mukhda
Aankhon mein bhavar bhi hai gehera
Surat payi hai sabse bhavi
Mata Ki Chavi....

Haathon mein bhale aur talwaar hai
Uspe gahenoon ka shringaar hai
Saadi chadayie hai uspe navi
Mata Ki Chavi....

Sabko jaane bhali bhanti
Kaun hai kaisa pehechanti
Gaataa hai Mahima kanu kavi
Tay kare sabki padvi
Mata Ki Chavi

Mata Ka Darbaar

Mata ka darbaar sona sona
Mata ka dular sona sona
Mata ka yeh pyaar sona sona
Mata...

Jab teri bheton ko bhaktjan gaaye
Saara aalam chahek mehek jaye
Koi tere gun ko gaaye
koi teri mahima sunaye
Dam daar ban jaye kona kona
Mata.....

Tere dwar pe aake kahoon sach much
Darshan paake paya hai sab kuch
Sari duniya ki cheezen hai tuch
Mata ke siva na chahiye kuch
Is darbaar ka such nahin hai khona
Mata...

Maiya meri naiya


Maiya meri naiya tere dwaar hai khadi
Paar laga de ise hogi kirpa badi
Maiya....

Tu hamari maata hum tere hai lal
tune diya janam ab tu hi sambhaal
Dekh tute na yeh apni ladi
maiya...

Tera yeh darbaar, hai khusiyoon ka sansaar
Khali jholi yahan par bhar deti ho bhandaar
Tere dwar pe yeh saari sangat hai padi
Maiya.....

Jai Mata Di

Jai Mata Di
Jai Mata Di
Tune sabki tune sabki
bigdi banaadi

Lekar aate hai hum sab toota dil
Aas jagakar ke hal hogi sab mushkil
mil jayegi mil jayegi
Kiran Aasaha di

Tere bhavan mein jo koi aata hai
moo manga voh phal paakar jata hai
sabki naiya sabki naiya
tune paar karaadi

teri mahima hai sabse nirali
dware tere hum sab hai swali
zindagi tune sabki
sundar sajaadi


No comments:

Post a Comment