Wednesday 18 October 2023

Aaya aaya ganpati tyohaar

deva deva ganpati deva chavi teri mahan
jo dhyaye sukh paye, ban jaye subhaan
 
Aaya aaya ganpati tyohaar
sabke ghar mein sake dar pe
sabke dil aur jeevan mein
sukh shanti dhan sampati
ka laya laya haseein uphaar

jitni vishal murat hai, utni vishaal mahima hai
dushton ka sauhaar, bakton ka rakhpaal garima hai
aaye karne sab deedaar

gajanana ganraja ganesh
mata gauri puta mahesh
bhakton ka taranhaar

hathi ka dhar, vakratund
char bhuja, ek dant
mathe mukut mushak vaahan
tu hai ham sab ka raajan
tujhe japne se ho uddhar

aaj din shubh hai aaya
jo manga vo maine paaya
ganpati ke aate hi
dukh dard sab door paya
aa gaya haseen nikhaar

No comments:

Post a Comment