Thursday, 14 November 2024

Sai Sevak - Song on Sai Baba

 Sai Sevak, sai mein tera hoon sevak

Vah kya kismet payi kya meri hai luck

Sai Sevak, sai mein tera hoon sevak

Teri seva karunga mein jinda hon jab tak


Tere dwar pe aake apna sar jhuka doonga

teri aasees se sab dukhre funka doonga

Mein karta jaoon seva nahin jaoon mein thak


paidhal chal chal ke tere mandir aoonga

tujhe bhailane tere bhajno gaoonga

Tu apne maher ka haath mere sar pe rakh


Monday, 4 November 2024

Illuminati song

Hey Magic, fantasy, dune, wizardi
jadooee duniyaa hai yeh sajaati
illuminati illuminati
Soye hove ko de jagaati
Jagmag si duniya hai dikhati
illuminati illuminati

koi jadoo se yahan pe paise banaye
koi kala jadoo karke kisko pataye
yeh hai kali duniya ki jadooee kahani
top secret rakhke sabko haraye
baahar se sabko ulu banaati
illuminati illuminati

bigair ladaee ke yeh karte hai wars
game ajeeb khelkar yeh langhte hai bars
choas create karke karte hai gambling
horror terror failake banaye apne laws
sab logon ko dhul chataati
illuminati illuminati



O my lover - Duet Song

boy: O my lover, meri premika meri jaanam tum ho
Yeh hasseen sureela mere liye aalam tum ho

Girl : Sach kahu kasam khake mere baalam tum ho
Yeh hasseen sureela mere liye aalam tum ho

boy : tere khatir chand sitaron se bhi dosti kar loonga
dosti ke khatir unko zameen pe bula loonga
girl: kye mere liye tum yeh sab kuch kar loge
chand se sitaron se meri baat kara loge

boy: yes sure, yes sure ru ru la la la
girl: Wow mazaa aa gaya la la la

boy: mere sur ka saaz mere taal ka taalam tum ho
Yeh hasseen sureela mere liye aalam tum ho

boy: I love you, paagal kar diya teri ada ne
jaise koi geet cheda hai is fiza ne

Girl: tum bhi ho meri dil ki mithi si dhadkan
hasta hai jo chahra tu hai jab dekhoon darpan

boy: are you sure, zu zu la la la
girl: yes sure, yes sure zu zu la la la

girl: red red ho gaya mere face ka gaalam tum ho
Yeh hasseen sureela mere liye aalam tum ho













Monday, 28 October 2024

Wednesday, 23 October 2024

Unche Parvat par ma ne apna sthaan banaya

Unche Parvat par maa ne apna sthaan banaya
Mandir nahin bhagton ke liye hai imtihaan banaya

Tere mandir mein
Jagmagaye Jyoti
Mujhe bhi de maa
Darshan ke moti
Path muskil pe mandir tune mahaan banaya
Mandir.........

Log tere dwaar pe
aake Muskurayein
Teri aasees lekar
saare khilkhilaayein
Chalte chalte thak gaye, kaisa deebaan banaya
Mandir...........

Tera mandir aalishan hai
tera sthan hai mahan
mujhe bulade meri maan
tu bahthi hai jahan
Swarg hai tera dwaar sundar deebaan banaya
Mandir

Log jo tere dwaar pe aate
voh log muskurate hai
teri aaees paakar voh sab
khush hokar jaate hai
hum bhi aa sake kyon na ise aasaan banaya



Wednesday, 9 October 2024

Pavan Putr Hanumaan

Pavan Putr Hanumaan Bolo Pavan Putr Hanumaan
Anjani Sut Balwaan Bolo Anjani Sut Balwaan

ShivShankar ke ho tum Avtara,
Ram Chandra Ke kaaj Savaraa
Langh jana tha Samundar,
Ya paar karna tha Paharaa
Bajrangi Bhagwaan Bolo Pavan Putr Hanumaan

Seeta ko dhoodhna ya Sanjivini lana
Lanka ko Jalana, ya Ravan ko haraana, ya Lakshman ko jiwaana
Manikant Mayank Maruti Nandan
Tujhko sabka barambaar vandan
Sankat Mochan Mahaan Bolo Pavan Putr Hanumaan

Monday, 30 September 2024

Barah Jyotirlingon Ki

Baarah Jyotirlingon ki Jyotirmayi Kahani
Sunlo jaanlo sab kuch yeh ek kavi ki zubaani

Tera Astitiva Mit Jayega, Chand ko shrap de bole Daksh
Shivji ne aa mukt kiya,diya Shukl aur Krishn Paksh
Somnath bankar garima aur ki Suhaani
Sunlo padlo jaanlo yeh ek kavi ki zubaani

Kartikey Ka rooth ke jaana, kronch parvat pe baith jana
Siv Parvati jaa vahana pe, kartike ko tha manana
Malikaarjun ek sthal jahan Shakti peeth hai bhavani
Sunlo padlo jaanlo yeh ek kavi ki zubaani

Priyamedha ko khatm karo, Dusana ne Aadesh diya
Shivji Prakat hoove tab aur Dusana ko khatm kiya
Mahakaleshwar ban biraje Raksha Ki Nishaani

Vindhya ka garv todne, narad bole meru parvat mahaan
Yeh sun vindhy ne shiv ling, banakar use pooja vahaan
Omkareshwar ban bhakt ki thi shaan badaani

Nara,Narayana ne bhakti ki, Shiv ling ko staptit kiya
Roz shiv vahan aate the, unko roz prasan kiya
Bhakton ki baat maan bane, kedarnath barfaani

Bhimasura ne kahar machaya, saare jag ko pareshaan kiya
Sudakshina ke aagrah par, Shiv ne bhima vadh kiya
Bhimashankar ling bana hai sab bhakton ke Kalyaani

Vishnu Brahma ka ahankaar,dono mein tha yudhu macha
Shiv ne ek rekha banaaee,kaha doodho ant iska
Vishwanath ban kar kaha brahma tum ho abhimaani

Gautama Kund ka jhagda, sab log chahte the hatana
Gautam ne Shiv dhyan kiya, Shiv ka Ganga ko sath Lana
Virajmaan h kahalaye Trambakeshwar shivaani

Raavan ne Shiv ko Prasn kiya, Shiv ko kaha Lanka mein viraje
Shiva ne ling dekar kaha, Jahan rakhoge, mein basonga vahape
Chalte Chalte rakha ling bane baidyanaath sthaani

Daruka ne bandi banaya, Aruva Supriya dono ko
Bhakti ki Shivji ki unhone, aake bachaya Supriya ko
Vahi rah gaye ban Nageshwar yeh tha uski kahaani

Ram Lakshman aur kapi, aaye voh nadi tat pe
Ravan ko harane ko, ling banaya sabh ne milke
Rameshwar ban vahi biraje katha hai jaani maani

Gushma , Sudeha aur sudharma ki kahaani ne dikha diya
Marne ke baad shivji ne , uske bete ko zinda kiya
Girshneshwar bane vaha biraje, gaatha yeh puraani