Shivsharkarji bhole mahima unki nirali
Jyotirlingon par Bhar jaati sabki jholi khali
Baarah Jyotirlingon ki Jyotirmayi Kahani
Sunlo jaanlo sab kuch yeh ek kavi ki zubaani
Tera Astitiva Mit Jayega, Chand ko shrap de bole Daksh
Shivji ne aa mukt kiya,diya Shukl aur Krishn Paksh
Somnath bankar garima aur ki Suhaani
Sunlo padlo jaanlo yeh ek kavi ki zubaani
Kartikey Ka rooth ke jaana, pahad kiranch pe baith jana
Siv gaura pahunche vahanpe, kartike ko tha manana
Malikaarjun ek sthal jahan Shakti peeth hai bhavani
Sunlo padlo jaanlo yeh ek kavi ki zubaani
Priyamedha ko khatm karo, Dusana ne Aadesh diya
Shivji Prakat hoove tab aur Dusana ko khatm kiya
Mahakaleshwar ban biraje Raksha Ki Nishaani
Vindhya ka garv todne, narad bole meru parvat mahaan
Yeh sun vindhy ne shiv ling, banakar use pooja vahaan
Omkareshwar ban bhakt ki thi shaan badaani
Nara,Narayana ne bhakti ki, Shiv ling ko staptit kiya
Roz shiv vahan aate the, unko roz prasan kiya
Bhakton ki baat maan bane, kedarnath barfaani
Bhimasura ne kahar machaya, saare jag ko pareshaan kiya
Sudakshina ke aagrah par, Shiv ne bhima vadh kiya
Bhimashankar ling bana hai sab bhakton ke Kalyaani
Vishnu Brahma ka ahankaar,dono mein tha yudhu macha
Shiv ne ek rekha banaaee,kaha doodho ant iska
Vishwanath ban kar kaha brahma tum ho abhimaani
Gautama Kund ka jhagda, sab log chahte the hatana
Gautam ne Shiv dhyan kiya, Shiv ka Ganga ko sath Lana
Virajmaan h kahalaye Trambakeshwar shivaani
Raavan ne Shiv ko Prasn kiya, Shiv ko kaha Lanka mein viraje
Shiva ne ling dekar kaha, Jahan rakhoge, mein basonga vahape
Chalte Chalte rakha ling bane baidyanaath sthaani
Daruka ne bandi banaya, Aruva Supriya dono ko
Bhakti ki Shivji ki unhone, aake bachaya Supriya ko
Vahi rah gaye ban Nageshwar yeh tha uski kahaani
Ram Lakshman aur kapi, aaye voh nadi tat pe
Ravan ko harane ko, ling banaya sabh ne milke
Rameshwar ban vahi biraje katha hai jaani maani
Gushma , Sudeha aur sudharma ki kahaani ne dikha diya
Marne ke baad shivji ne , uske bete ko zinda kiya
Girshneshwar bane vaha biraje, gaatha yeh puraani